Add Poetry

Insaniyat

Poet: Bella By: Bella, Multan

Aa Gaya Hay Khasa Insan Men Haywaniyat Ka
Nikal Chuka Hay Janaza Insaniyat Ka

Kaleja Phat Jata Hay Zamen-O-Arsh Ka
Insan Be-His Dayhkta Hay Tamasha Insaniyat Ka

Doob Marnay Ka Maqam Hay Ay Ahl-E-Islam
Islam To Dayta Hay Dars Sarapa Insaniyat Ka

Bikti Hay Insaniyat Be-Zameer Logoon K Hathoon
Pamal Hota Hay Pairoon Men Taaj Insaniyat Ka

Be-Deed Ho K Dayhktay Hen Tamasha Musalma'n
Har Koi Bana Phirta Hay Munsif Insaniyat Ka

Kia Khak Tarkki Karay Ga Islam Yahan
Khota Ho Gaya Hay Muslam'n Niyat Ka

Dafnaya Hay Aj Jis Jis Nay Insaniyat Ko
Khatkhataye Ko Wo Bhi Darwaza Insaniyat Ka

Karkhana-E-Qudrat, Mukafat Amel Hay Bella
Ho Ga Azala Ik Din Toheen-E-Insaniyat Ka

Rate it:
Views: 5854
18 Feb, 2011
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets