Add Poetry

Jab Koi Zindagi

Poet: Shamsul "ShamS" By: Shamsul Hasan, New Delhi

Jab Koi Zindagi Maa Ki Duaaon Mai Bashar Karta Hai
To Phir Zahar Bhi Dawaaon Ka Asar Karta Hai

Main Pareshaan Hoon Tanghaal Hoon Usey Kaise Pata
Hai Kon Jo Mujhse Zayada Meri Fiqar Karta Hai

Tu Sar Se Paon Tak Bewafaai K Rang Mai Rangi Hai
Dekh Phir Bhi Deewaana Tera Tujhpe Nazar Karta Hai

Mere Bachpan Ki Sab Nishaaniyan Mehfooz Hain Wahan
Aaj Bhi Yaad Bohat Mujhko Mera Ghar Karta Hai

Mujhko Barbaad Karne Mai Uska Bohat Mehatew Hai "Shams"
Main Udhar Chala Jata Hoon Wo Ishara Jidhar Karta Hai

Rate it:
Views: 336
27 Aug, 2014
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets