Jab Say Tu Nay Mujhe

PoetNasir Kazmi Submitted bySmilepain
Text size

Jab Say Tu Nay Mujhe Deewana Bana Rekha Hai
Sang Her Shaks Nay Haathon Main Utha Rakha Hai

Us K Dil Pay B Kari Ishq Main Guzri Ho Gi
Naam Jis Nay B Mohabbat Ka Saza Rakha Hai

Patharo Aaj Mere Sir Pay Berste Kyon Ho
Main Nay Tum Ko B Kabi Apna Khuda Rakha Hai

Ab Meri Deed Ki Duniya B Tamashaii Hai
Tu Nay Kya Mujh Ko Mohabbat Main Bana Rakha Hai

Pee Ja Ayyam Ki Talhi Ko B Hans Kar Nasir
Ghum Ko Sehnay Main B Qudrat Nay Maza Rakha Hai

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied