Jab Woh Mujh Se Kalaam Karta Hai

PoetAlmas Shabi Submitted byAlmas Shabi
Text size

Jab Woh Mujh Se Kalaam Karta Hai
Dharkanon Mein Qiyam Karta Hai

Laakh Tujh Se Hai Ikhtilaaf Magar
Dil Tra Ehtram Karta Hai

Din Kahin Bhi Guzaar Le Yeh Dil
Tairay Koochy Mein Shaam Karta Hai

Haath Thaama Nah Haal Hi Poocha
Yun Bhi Koy Salam Karta Hai

Woh Fasoon Car Is Qader He Shabi
Baithy Baithy Ghulam Karta Hai
 

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied