Jo Meri Aankhon Se Khuwab Dekho
To Aik Shab Bhi Na So Sako Ge
K Lakh Chaho Na Hans Sako Ge
Hazar Chaho Na Ro Sako Ge
K Khuwab Kia Hain, Azab Hain Ye
Mere Dukhon Ki Kitab Hain Ye
Rafaqtain In Main Choteti Hain
Mohabbatain In Main Rothti Hain
Pinapti Hain In Main Wehshatain Si
Aziatain In Main Photeti Hain
Inhein K Dar Se Khizan Hain Jazbe
Inhein Se Shakhain Si Toteti Hain
Ghamon Ki Bandish Hain Khuwab Mere
Dukhon Ki Barish Hain Khuwab Mere
Ubal Raha Hai Dukhon Ka Lawa
Rahen-E-Atish Hain Khuwab Mere
Khial Sare Jhulas Gai Hain
Sulagti Khuwahish Hain Khuwab Mere
Ukharti Sansain Hain Zindagi Ki
Laho Ki Sazish Hain Khuwab Mere
Jo Meri Aankhon Se Khuwab Dekho
To Aik Shab Bhi Na So Sako Ge