Suno Jaanan
Judai Mout Hoti Hai
Kabhi Fursat Mile To Dekhna Patton Ka Girna Tum
K Jub Ye Shajar Se Gir K Zameen Per Aan Parrte Hain To Kese Raunde Jaate Hain
Thuthrati Raat K Khamosh Lamhon Main
Kisi Be-Bas Akeli Ba-Wafa Khamosh Larrki Ki Kabhi Tum Siskiyan Sunna
Kabhi Qitaar Se Bichrri Hoi Koonjon K Noohe Per Nigah Karna
K Kese Aik Dooje Ki Judai Per Tarrap Ker Bain Kerte Hain
Kabhi Rukhsat K Lamhon Main Kisi Ki Aankh Se Larkharte Howe Aansoo Ko Dekho Gi
To Shayad Jaan Jao Gi
Judai Mout Hoti Hai
Abhi Tum Ne Mohabbat K Baraste Bheegte Mousam Nahi Dekhe
Abhi Tum Titlion K Rang Muthhi Main Chupati Ho
Abi Tum Muskarati Ho
Suno Jaanan
Kabhi Jo Zindagi Ne Ajnabi Weeran Raahon Per
Tumhari Ye Hansi Chheeni
To Phir Aansoo Bahao Gi
Tum Itna Jaan Jao Gi
Judai Mout Hoti Hai