Add Poetry

Jungal Muj Se Baat Tu Kar

Poet: Jani By: Rizwan, sialkot

Jungle Mujh Se Baat Tou Kar
Dekh Kahan Se Aaya Hoon
Sannata Hai Chaaron Jaanib
Aur Hawaa Ki Sergoshi Main
Tootay Tootay Se Kuch Jummlay
Raat Gaye Honay Wali
Pehli Barish Ke Qatron Ki Soorat
Patta Patta Tapak Rahe Hain

Teen Baras Aur Sola... Din Pehle Ki Gehri Shaam Koi
Yahin Kahin Per Ruki Hui Hai
Aur Ik Gehray Saayun Walay Paerr Pe Ab Tak
Hum Dono K Naam Khuday Hain
Aur Ik Dil Hai
Jis Me Koi Teer Taraazu Kab Se Hai

Jungle Tere Samnay Hum Ne
Uss Din Kitni Batain Ki Thien

Tujhko Bhi Woh Yaad Tou Hongii
Sab Naa Sahi Par Thori Thori
Yeh Jo Hawa Ki Sargoshi Hai
Is Ke Tootay Jummlon Jaisi
Abhi Abhi Is Thammnay Wali Barish K Qatron K Jaisi

Teen Baras Aur Sola Din Ka Ik Ik Lamha Laya Hoon
Jungle Mujh Se Baat To Ker
Dekh Kahan Se Aya Hoon

Rate it:
Views: 899
27 Jun, 2008
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets