Kabhi Teri Rafaaqat Se Nikalna

PoetWaqas Bhutt Submitted byWaqas Bhutt
Text size

Kabhi Teri Rafaaqat Se Nikalna Hi Nahi Mumkin
Kabhi Daaman Churra Lena Bohat Asaan Lagta Hai

Kabhi Tum Roothe Ho To Ajab Mushkil Si Parrti Hai
Kabhi Tujh Ko Maana Lena Bohat Assan Lagta Hai

Kabhi Samjha Karo Kuch Faisle Halaat Karte Hain
Kabhi Waadey Nibha Lena Bohat Assan Lagta Hai

Kabhi Kuch Din Tumhare Bina Guzerte Hi Nahi Lakin
Kabhi Muddat Bita Dena Bohat Asaan Lagta Hai

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied