"Ye Wo Panny Hen"
Jahan Khiyaloon K Parinday Urtay Hen
Umeedon K Dar Khultay Hen
Jahan Dil Ki Baten Hoti Hen
Arzowo'n Ki Taskeen Hoti Hay
Jahan Jazboon Ko Lafaz Miltay Hen
"Ye Wo Panny Hen"
Afsanoo'n Ko Rang Miltay Hen
Kabhi Kantay
Kabhi Gul Khiltay Hen
Jahan Qaid Kabhi
Ratjagoon K Anso Hotay Hen
Or Kabhi
Sehnai Khushion Ki Bajti Hay
"Ye Wo Panny Hen"
Jo Meray Zakhmoon Ka Bhram Rahktay Hen
Meray Dil Ka Toofan Utar Kar Khud Men
Meri Muskurahtoon Ki Waja Bantay Hen
In Panno'n Men
Simat Gai Hay Duniya Meri
"Ye Wo Panny Hen"
Jahan Meri Zindagi K Sab Rang Miltay Hen
Jahan Khiyaloon K Parinday Urtay Hen
Umeedon K Dar Khultay Hen