Kamal_E_Zabt To Main Khud Bhi To Aazmaon Gi
Main Apne Hathon Se Us Ki Dulhan Sajaon Gi
Supurd Kar Ke Use Chaandni Ke Haathon
Main Apne Ghar Ke Andheron Ko Lout Aaon Gi
Badan Ke Karb Ko Wo Bhi Samajh Na Paaye Ga
Main Dil Mein Roun Gi Aankhon Mein Muskuraon Gi
Wo Kiya Gaya Ke Rafaqat Ke Sara Lutf Gaya
Main Kis Se Rooth Sakon Gi Kise Manaon Gi
Wo Aik Rishta_E_Benaam Bhi Nahin Lekin
Main Ab Bhi Us Ke Ishaaron Pe Sar Jhukaon Gi
Ab Us Ka Fan To Kisi Aur Se Mansoob Hua
Main Kis Ki Nazam Akele Mein Gungunaon Gi
Jawaz Dhoond Raha Tha Naya Mohabbat Ka
Wo Keh Raha Tha Ke Main Us Ko Bhool Jaon Gi
Samaton Mein Ghanay Janglon Ki Saansein Hain
Main Ab Kabhi Teri Aawaz Sun Na Paon Gi