Khafa To Tha Wo Magar Mujhse Muskura K Mila

PoetSmile Pain Submitted bySmile Pain
Text size

Nazar Main Zakhm-E-Tabbasum Chupa Chupa K Mila
Khafa To Tha Wo Magar Mujhse Muskura K Mila

Wo Humsafar K Mere Tanz Pe Bhi Hansta Tha
Sitam Zareef Muje Aaina Dikha Ke Mila

Mere Mizaj Pe Hairan Hai Zindagi Ka Shaoor
Main Apni Moat Ko Aksar Gale Laga K Mila

Main Us Se Mangta Kia Khoon Baha Jawani Ka
K Wo Bhi Aaj Muje Apna Ghar Luta K Mila

Main Jisko Dhoond Raha Tha Nazar Ke Raste Main
Mujhe Mila Bhi Tou Zalim Nazar Jhuka K Mila

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied