Add Poetry

Khuda Ka Shukar Hai Ke Dilbar_O_Dildar Hai Laila.

Poet: Shahzad Qais By: Rainy Eyes, Kotri Kabir

Khuda Ka Shukar Hai Ke Dilbar_O_Dildar Hai Laila
Tumhara Shukar Hai Ke Tum Ko Mujh Se Piyar Hai Laila

Mera Jeena Mera Marna Teri Zulfon Ke Saaye Mein
Meri Hamdam Meri Murshid Meri Salaar Hai Laila

Teri Chahat Ne Dharkan Dil Ko Bakhshi Jan_E_Mehboobi
Jahan Par Hoon Main Jo Kuch Hoon Faqat Memaar Hai Laila

Bichar Ja Shouq Se Lekin Qasam Jeene Ki Too Na De
Tere Bin Aik Dharkan Hashar Se Dushwar Hai Laila

Zameeni Barq Barq_E_Husun Hassn_E_Shouq
Gham Khushi Rang Rang_E_Gul, Gul_E_Gulnar Hai Laila

Khuda Ne Bakhshi Hai Tujh Ko Itni Mavi Nazrein
Zamana_E_Hashar Tak Ajmal Ko Darkaar Hai Laila

Ye Mere Alfaz Tere Hussn_E_Sarmaya Meri Sochain Ba Mushkil
Phool Too Gulzaar Hai Laila

A Jaan_E_Qais Ye Shoharat Tere Paon Ka Sadpa Hai
Mujhe Shayer Banane Mein Tera Qirdar Hai Laila

Rate it:
Views: 1889
14 Apr, 2014
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets