Azeem Shaksiyat K Naam Hai Yeh Alfaaz
Khabhi Mere Baba K Naam Kam Na Par Jaye Harf O Naaz
Mera Bachpan Maa Ki Lori Se Tha Guzaara
Baba K Kandho Ko Jhula Bankar Khela
Main Jab Jab Na Pata Baba Ko Khabhi
Jee Ghabra Jata Ajeeb Khayalo Mai Tabhi
Baba Har Bar Mujhe Maa Ki Daant Se Bachya Karte The
Bahen Bhaiyo Ki Larae Main Mera Saath Diya Karte The
Meri Jab Bhi Ankh Bhar Jati Thi
Maa Se Pehle Baba Ansoo Ponch Jate The
Main Tu Baba Ka Ghurur Tha
Hamesha Sur Per Mere Unka Saya Tha
Roshi Thi Mere Angaan Main Baba K Hone Se
Buj Gaya Diya Baba App K Jane Se
Ab Kon Mujhe Kandho Per Bethaye Ga
Kon Meri Tareefo K Ghun Gaye Ga
Logo K Taano Se Ko Mujh Bachaye Ga
Kon Meri Zid Ko Pura Kar Jayega
Bab Sun Rahe Ho App
Kaha Chale Gaye Ho App
Ajao Na Baba Meri Pukaar Sunkar
Jahan Gaye Ho Ajao Na Baba Sab Yaad Main Ghoomsun Hai
Meri Nazare App Ko Har Pal Dhunti Hai
Rota Nahi Per Ankho App Ki Yaad Mai Bhar Ati Hai
Andhere Mai Nahi Jata Baba App Ki Ungli Nahi Milti
Har Baar Akele Main Ghum Jata Ho Q K App Nahi Milte
Aas Pass Sab K Baba Is Baar Bhi Father's Day Per Aye The
Main Akele Betha Tha Q K Waha App Na Aye The
Ek Hi Dua Main Karta Ho Haath Utha Kar Mehnaz
Har Bache Ko Baba Ka Saya Mile Aur Woh Bache Hamesha Rahe Khaas