Add Poetry

Koi Shaks Mujhko Aise Manzar

Poet: Shamsul "ShamS" By: Shamsul Hasan, New Delhi

Koi Shaks Mujhko Aise Manzar Dikha Raha Hai
Main Phool De Raha Hoon Wo Khanzar Dikha Raha Hai

Main Bhi Badal Gaya Hun Duniya Ki Rangaton Mai
Aaina Mujhko Mere Andar Dikha Raha Hai

Veeraan Meri Basti Ghamgeen Sara Aalam
Jalta Hua Sa Koi Ek Ghar Dikha Raha Hai

Main Aadmi Zameen Ka Lekin Kamaal Dekho
Mujhko Khayaal Mera Ambar Dikha Raha Hai

Unko Manaaun Kaise Jo Roothkar Gaye Hain
Manzil Ka Raasta To Patthar Dikha Raha Hai

Sab Ek Jaise Honge Shayad Siyasaton Mai
Lekin Wo Khaab Humko Behtar Dikha Raha Hai

Mana Ke Wo Hai Apna Shayad Gale Laga Le
Phir Kis Liye Wo Mujhko Kankar Dikha Raha Hai

Sab Door Door Aise Mujhe Chodd Ke Gaye "Shams"
Ghar Mera Mujhko Aangan Banzar Dikha Raha Hai

Rate it:
Views: 461
22 Sep, 2014
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets