Kuch Apni Ghaltyon Ka Azala Kro
Text size
Kuch Apni Ghaltyon Ka Azala Kro Wasi
Yon Nafrton Ko Dil Mein Na Pala Kro Wasi
Seedha Sa Ik Sawal He Seedha Jawab Do
You Muskra K Mujh Ko Na Tala Kro Wasi
Alfaz Gira Detay He Jazbat Ki Qeemat
Jazbat Ko Lafzon Mein Na Dhala Kro Wasi
Sanbhle Howey Logon Ki Fikar Chor Di Tum B
Jo Gir Rahe Unko Sanbhala Karo Wasi