Add Poetry

Kya Kijiye

Poet: Shamsul "Shams" By: samar khan, New Delhi

Raha Dil-E-Aashiq Jo Talabgaar To Bhala Kya Kijiye
Na Hua Hushn-E-Jaana Ka Deedar To Bhala Kya Kijiye

Ishq K Siwa Kuch Kaam Kahan Hai Mujhko
Haan Haan Main Hun Gunhagaar To Bhala Kya Kijiye

Ab Dekhte Hai Kab Tak Na Rang Badlega Wo
Aa Gayi Hai Uski Sarkaar To Bhala Kya Kijiye

Chain Se Sona Bhi Chaha Hai Magar Munasib Nhi
Dushman K Haath H Talvaar To Bhala Kya Kijiye

Main Muddaton Uski Gulaami Bhala Karta Kaise
Mujhe Guzra Ye Na-Gawaar To Bhala Kya Kijiye

Khouf Har Soo Hai Andheron Se Ujaalon Tak Dekha
Hum Hi Badnaam Hain Har Baar To Bhala Kya Kijiye

Main Apne Hi Ghar Mai Mehmaan Ki Tarha Rehta Hun
Nazariya Badalti Nhi Sarkaar To Bhala Kya Kijiye

Wo Baat Baat Pe Kyun Mujhse Rooth Jaate Hain
Mujhe Aata Hi Nhi Jatana Pyar To Bhala Kya Kijiye

Mulq Mai Aaye Dino Hume Badnaam Kiya Jata Hai
Haan Main Hi Hun Gaddaar To Bhala Kya Kijiye

"Shams" Duniya-Daari Mai Kuch Nhi Rakha
Yahan Kashti Bhi Hai Majdhaar To Bhala Kya Kijiye
 

Rate it:
Views: 564
10 Jul, 2014
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets