Lab

Poet Submitted byHassni Baloch
Text size

Labon Ki Sersarahat Se
Badan K Choor Hony Tak

Main Tujh Ko Is Tarah Chahoon
K Meri Saans Ruk Jaye

Khataon Par Khata’ain Hon
Na Ho Kuch Baat Kehne Ko

Main Tujh Main Yoon Sama Jaoun
K Meri Saans Ruk Jaye

Na Himmat Tujh Main Ho Baqi
Na Himmat Mujh Main Ho Baqi

Magar Itna Qareeb Aaoun
K Meri Saans Ruk Jaye

Tere Honton Pe Jab Rakhoon
Main Apny Hont Kuch Aise

Ya Teri Pyaas Bujh Jaye
Ya Meri Saans Ruk Jaye

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied