Labon Pe Phool Khilte Hain Kisi K Naam Se Pehle
Dilon K Deep Jalte Hain Chirag-E-Shaam Se Pehle
Kabhi Manzer Badalne Per Bhi Qisa Chal Nahein Pata
Kahani Khatam Hoti Hai Kabhi Anjaam Se Pehle
Yaha Taare Tumhare Aankh Ki Chilman Main Rehte The
Yaha Soraj Nikalta Tha Tumhare Baam Se Pehle
Dilon Ki Jagmagati Bastian Ta Raaj Kerti Hain
Yehe Loog Jo Lagte Hain Nihayat Aam Se Pehle
Hoi Hai Shaam Jangal Main Parinde Lout'te Hon Ge
Ab On Ko Kis Tarha Rokain Nawa-E-Daam Se Pehle
Ye Sare Rang Murda The Tumhare Shakal Bannane Tak
Ye Sare Harf Muhmil The Tumhare Naam Se Pehle
Howa Hai Wo Ager Munsaf To Kamran Eihtiyatan Hum,
Saza Tasleem Kerte Hain Kisi Ilzaam Se Pehle