Add Poetry

MAA

Poet: MEHNAZ SHOUKAT ALI By: MEHNAZ, Karachi

Achaal Se Apne Jo Mere Ansoo Ponche Tumne Maa
Dil Se Jo Mere Labo Ki Baat Jaane Layti Woh Hai Meri Maa
Main Ek Chik Mai Ek Ansoo Bahata Maa
Mere Har Ansoo Per Apna Kalayja Nikal Dayti Thi Maa
Main Pait Bhaar Kha Kar Sojata
Woh Banati Apni Goud Ko Mera Bichona
Main Hansta Tu Woh Muskurati
Meri Jeet Per Uski Ankhein Bhar Ati
Main Jab Bimaar Haar Kar Beth Jata
Tu Raat Bhaar Mamta Ki Lou Lagati
Mere Laubo Ki Khuwaish Mere Laoubo Per Nahi Ati
Maa Meri Har Khuwaish Ko Haanste Haanste Puri Kar Jati
Maine Hamesha Sukh Ki Parchae Mai Zindagi Guzari
Jab Tak Hu Main Zinda Rahe Hamesha Mere Sur Per Teri Mam Ki Parchai
Main Eid Mai Naye Kapre Pehan Kar Pure Muhale Mai Jata
Maa Meri Wahi Purane Kapro Mai Eid Aur Har Tahwaar Ghuzar Jati
Maa Main Tha Tab Chota Tab Bhi Tu Roti Thi
Ajj Main Ho Baara Tab Bhi Tu Roti Hai
Kiya Hogaye Meri Maa K Ahsaas Aur Jazbaat Mehnaz
Kya Hai Itni Pur Sukoon Muskurahat Ka Raaz
 

Rate it:
Views: 366
09 May, 2016
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets