Add Poetry

MAAN(Mother)

Poet: Muhammad Nawaz By: Muhammad Nawaz, sangla hill

Geet Gaatay Huway Panchhi,Ye Lahlahaatay Khait
Nadi Ka Khushk Kinaara,Ye Seepiyaan,Ye Rait
Ye Mast Mast Hawain,Ye Waadiyaan,Ye Log
Ye Mehki Mehki Fizaain,Ye Abar,Ye Aakaash
Ye Sabza Zar,Ye Gulshan,Ye Subh E Taaza,Ye Aos
Ye Kanwal ,Motiya,Gulaab,Raat Ki Raani
Ye Sabz Tahniyaan,Pattay,Ye Shabnami Paani

Ye Titliyaan,Ye Bulbulain,Ye Koil ,Ye Jugnu
Ye Barg Barg Safar Aur Dilnasheen Naghmay
Ye Sumbul,Cheerh,Sanober,Ye Cheel,Ye Sandal
Ye Pahaaron Ke Beech Main Se Ubaltay Chashmay
Ye Khushbuon Ka Nasheman,Ye Rangon Ki Duniya
Ye Bal Khaatay Huway Rastay,Ye Sabz Rahguzar
Ye Rang Rang Ki Milhaar,Shokh Shokh Shajr

Ye Zindgi Ki Rawani,Ye Din ,Ye Raat
Ye Zameen,Chaand,Sitaaray,Ye Saari Kainaat
Ye Lafz,Sher,Siyaahi,Ye Soch Ke Dariya
Ye Dil,Ye Aarzoo,Ye Itminaan Ki Dolat
Ye Jageerain,Ye Kaarkhanay,Ye Naam,Ye Shohrat
Ye Meethi Neend,Ye Araam,Ye Khamshi,Ye Saroor
Ye Ilm O Aml Ki Nemat,Ye Zindgi Ka Shaoor

Tumaam Nemton Ko Allah Ne Yakja Ker Ke
Ik Gul E Taaza Ko Takhleeq Kiya
Jiski Azmat Ko Farishton Nay Bi Salaam Kiya
Jiski Hurmat Kay Taqaddus Ko Nabiyon Ne Chooma

Khuda Nay Uss Gul E Taza Ko " Maan" Ka Naam Diya
 

Rate it:
Views: 603
06 Oct, 2010
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets