Add Poetry

Maan Tujhe Mera Salam

Poet: baqar abbas faez By: SAIF ASHIR, Islamabad

Rehmatoon Ka Barkatoon Ka Daur Ghar Sey Uth Gaya
Aaj Meri Maan Ka Saya Merey Sar Sey Uth Gaya

Maan K Jo Merey Liya Thi Rehmate-E-Parwardigar
Maan K Jis K Dum Se Thi Merey Gulistan Mein Baha

Maan K Jis Ne Mujh Per Apni Her Khushi Qurban Ki
Maan K Jo Dunya Mein Hai Pehli Wahah Pehchan Ki

Maan K Jo Ratoon Ko Uth Uth Poochthi Thi Mera Hal
Fikr Rahti Thi Hamaisha Dar Na Jaey Mera Lal

Mein Bohat Tanha Nahein Ho Jaoonga Tere Baghair
Faisla Itna Bada Kaisey Kia Merey Baghair

Tu Ne Kyun Samjha Zaroorat Khairkhwohon Ki Nahein
Kaise Andaza Huwa Hajat Ab Duawon Ki Nahein

Kaun Merey Waste Bechain Ho Ga Dais Mein
Kaun Khairiyat Poochey Ga Ab Meri Perdais Mein

Hai Dua Meri Yeh Faez Khuld Ho Tera Muqam
Tu Bohat Yaad Aaye Gi Maan Tujhe Mera Salam

Rate it:
Views: 584
11 Jul, 2011
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets