Add Poetry

Mahil Ki Aarzoo Me Jhonpadi

Poet: SHAYAN GHULAMI By: shayan ghulami, ABU DHABI

Mahil Ki Aarzoo Me Jhonpadi Dekhi Nahi Jati
Kabi Khwabon Me Bhi Ye Kamtari Dekhi Nahi Jati

Hame Maloom Hai Hasna Hasana Theek Hai Laikin
 Kisi Ka Dil Dukha Kar Dillagi Dekhi Nahi Jati

Ajab Hai Doosti Aankhon Me Aansoo Dekh Sakhti Hai
 Magar Chehre Pa Halki Si Khushi Dekhi Nahi Jati

Judayi Me Tere Aansoo To Apne Dekh Sakht Hoon
 Teri Nazok Si Aankhon Me Nami Dekhi Nahi Jati

Hum Apne Dooston Se Doosti To Dekh Sakhte Hain
 Hamare Dooston Se Dushmani Dekhi Nahi Jati

Khudaya Muflisi Ko Daure Hazir Se Mita De Tu
 Garibon Per Ameeron Ki Hansi Dekhi Jati

Muqhabil Me Tere Shayan Dushman Aa Nahi Sakte
 Tere Dushman Ko Teri Bartari Dekhi Nahi Jati
 

Rate it:
Views: 318
30 Aug, 2015
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets