Add Poetry

Main

Poet: Usman Arif By: Usman Arif, Lahore

Ik Ajeeb Insan Hun Main
Sochu Toh Ik Lambi Dastan Hun Main
Hoon Aj Phir Udas Roz Ki Terha
Dekho Toh Ajeeb Gumaan Hun Main
Sukon Bhi Nahi Aur Bekarar Bhi Nahi
Lagta Hai Jo Puri Likhi Nahi Gai Wo Dastan Hun Main
Main Unmein Nahi Jinko Yaad Bhi Rekha Jaye
Per Socho Gay Jisse Ik Aisa Insan Hun Main
Muflasi Mein Jo Waqat Guzar Rah Hai Guzar He Jaye Toh Acha Hai
Kiya Kahon Apse K Sustt Bekar Insan Hun Main
Haan Janta Hun Zamane Ko Yahan Koi Kisi Ka Nahi
Sach Ko Sach Naa Keh Sakho Itna Bhi Bay-Imaan Nahi Hun Main
Kisi Ne 'Khudgarz' Kisi Ne 'Deewana' Toh Kisi Ne 'Pagal' Kaha
Khud Ko Dekho Toh Lagta Hai Insab Ka Haqdar Hun Main
Mere Aapno Mein Sab Ko Yaqeen Hai K Bekaar Hun Main
Lekin Mere Maa Baap Se Pucho Phir Bhi Jinki Dharkano ki Awaz Hun Main
Ab Toh Khud Ko Acha Lago Aisa Bhi Kuch Nahi Khud Mein
Ik Kitab Toh Hun Per Benaam Hun Main
Mout Ati Nahi Din-Ba-Din Katne Per Bhi
Koi To Izraiel Se Keh Do Kab Se Tayar Hun Main
Ye Haal Bhi Bay-Hall Sa Hai
Raat Ko Murda Toh Din Ko Insan Hun Main
Usman  Kuch Toh Aisa Keh De K Log Tera Janaza He Perh Dein?
Logo Se Keh Dena
Acha Insan Na Sahi
Per Un Ka Umaati Ik Musalman Hun Main
 

Rate it:
Views: 748
15 Mar, 2019
Related Tags on Life Poetry
Load More Tags
More Life Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets