Add Poetry

May Nay Daikha Tha

Poet: Mohsin Naqvi By: Hasnat, lahore

May Nay Daikha Tha Un Dino May Usay
Jab Wo Khiltay Gulab Jaisa Tha
Us Ki Palkon Say Neend Chunti The
Us Ka Lehja Sharab Jaisa Tha
Us Ki Zulfon Say Beegti The Ghata
Us Ka Rukh Mehtab Jaisa Tha
Bolta Tha Zuban Khusbu Ki
Log Suntay They Darkano May Usay
May Nay Daikha Tha
Sari Ankhain The Aeeinay Us K
Saray Chehroo May Intakhab Tha Wo
Sab Say Gul Mil K Ajnabi Rehna
Ek Darya Numa Suraab Tha Wo
Khowab Yeh Hai Haqeeqat Tha
Haqeeqat Yeh Hai Koe Khwab Tha Wo
Apni Nendain Usi Ki Nazar Huee
May Nay Paya Tha Rat Jagoo May Usay
May Nay Daikha Tha
Jab Wo Hans Hans Kr Baat Karta Tha
Dil K Khaimay May Raat Karta Tha
Rang Partay They Anchalon May Usay
May Nay Daikha Tha
Yeh Magar Door Ki Kahani Hai
Yeh Magar Door Ka Fasana Hai
Meray Us K Milap May Hail
Ab To Sadiyo Bara Zamana Hai
Kisay Khabar In Dino0 May Wo Kaisa Hai
May Nay Daikha Tha Un Dino May Usay

Rate it:
Views: 654
24 Jun, 2008
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets