Add Poetry

Mehboob Ki Maut

Poet: Bilal Sameer By: Bilal Sameer, Karachi

Aj Hum Ik Bohat Bara Qadam Utha Rahe Hain
Tum Ko Ik Ghamgheen Afsana Sunane Ja Rahe Hain
Tumhare Ansu Kuch Tapakte Dekhna Chah Rahe Hain
Apni Maut Se Tum Ko Waqif Karna Chah Rahe Hain

Marna To Ik Din Sub Ne Hai
Qabr Mei Bhi Utarna Sub Ne Hai
Par Imtihan To Aakhir Unka Asal Hai
Jazba Muhabbat Ka Jin Ka Buland Hai

Ye Log Kuch Aise Hote Hain
Apni Muhabbat Mei Behad Pakke Hote Hain
Dusre Gham To Ba Aasaani Sehte Hain
Par Mehbub Ki Maut Par Jan Dete Hain

Ik Din Aisa Zarur Aye Ga
Tera Aashiq Is Dunya Se Rukhsat Hojae Ga
Ghar Mei Logön Ka Ik Hujoom Aye Ga
Mere Jism E Bejaan Ko Nehlae Ga Kafnae Ga

Phir Sub Hamara Dedaar Karenge
Sub Roenge Khub Dhoenge
Kuch Log Dukh Ko Bardasht Na Kar Paenge
Bund Aankhon Ko Dekh Kar Sub Pachtaenge

In Ghamzada Logon Mei Tum Bhe Hoge
Tum Bhe Ghar Aake Hum Se Milna Chaho Ge
Tum Socho Ge Ke Tum Ab Zinda Kaise Raho Ge
Bohat Akela Khud Ko Mehsus Karoge

Tum Hamare Chehre Par Dekhoge
To Kuch Aasaar E Pareshani Pao Ge
Dekh Kar Inko Tum Khof Zada Hojao Ge
Is Gham Ko Tum Bardasht Na Kar Pao Ge

Hamare Chehre Ko Dekh Kar Tum Dar Gae
Ke Jaise Kisi Azab Mei Hum Phans Gae
Ke Jaise Khata Koi Hum Dunya Mei Kar Gae
Ke Jaise Mushkilon Mei Ab Hum Phans Gae

Itna Bata Dun Ke Hum Tere Mehbub Hain
Hum Par To Azab Bhe Sare Makrooh Hain
Hum Par To Raahaton Ke Darwaze Khule Hain
Hum To Jannat Mei Dakhil Hogae Hain

Par Chehre Par Ab Bhe Pareshani Hai
Gham Aur Kuch Tanhai Si Hai
Halanke Jannat Lafani Hai
Par Yaad Teri Tarpati Hai

Shayad Yahe Manzur Tha Rab Ko
Ke Tanhai Mile Tumko Aur Hum Ko
Bejaan Jism Nazar Ae Tujh Ko
Aur Yaad Teri Tarpae Mujh Ko

Meri Mayat Jab Uthaen To Rona Nahe
Tum Cheekhna Nahe Chillana Nahe
Hawas Par Qabu Tum Khona Nahe
Is Ke Bad Kabhe Mera Sochna Nahe

Par Hum Tum Ko Sochte Rahenge
Tumko Dunya Mei Masruf Dekhte Rahenge
Tumhari Nigraani Hum Karte Rahenge
Farz Hum Apna Pura Karte Rahenge

Tumhare Rab Se Mei Minnat Karunga
Tumko Mujh Se Milane Ki Darkhwast Karunga
Jannat Ke Darwaze Par Intizar Karunga
Tum Se Mulaqat Ka Bahana Roz Karunga

Rate it:
Views: 1964
16 Apr, 2010
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets