Add Poetry

Mein December Ki Tanha Raat Chaand Chandni Aur Tum Aur Hawa

Poet: kamran bashir bhatti hamzaad By: kamran bashir, sanghar

Hawa Thandhi Jo Jo Zooron Ki Chali Ab
Mere Pairoon Ko Baar Baar Choo Kar
Kuch Youn Ahsaas Dilaa Rahi Thi Abhi
Kay Tum Tanha Nahi Jaana
Mein Wohi Chaandni Hun
Jo Kabhi Tumhaaray Shabistaan Mein
Tumhaari Muhabat Ka Ik Roop Bann Kar
Chaann Chaan Say Aai Thi
Kabhi Jis Nay Tumhain Bari Chaahat Say
Tumhari Us Muhabat Ka
Yakeein Tum Ko Dilaaya Tha
Mein Wohi Chaandni Hun
Tum Jis Ki Dudheyaa Si Rooshni Mein
Akaili Sard Si Adhuray Chaand Ki Raat Mein
Simmat K Khud K Baazuoon Ko
Apnay Hi Wajuud Say Lag Kar
Pher Aksar Yeah Jo Tum Apnay Hi
Baazuon Ko Sehlaatay Ho Na
Aur Jis Muhabat Ko Yaad Kar K
Aur Haath Apna Khud Hi Ultay Say
Ghuma Baalon Ko Jab Sanwaartay Ho
December Ki Akaili Raaton Mein
Pher Aksar Geet Koi Dard Bhara Sa
Jab Aksar Gungunaatay Ho
Kasam Say Jaan Jaati Hai
K Muhabat Itni Kisi Say Ho
Wo Tarpay Kisi Ki Yaad Mein
Shab BharDin BharZindagi Bhar
Usay Us Ki Muhabat Kyoun Nahi Milti
Mein Aksar Daikhthi Thi Tum Ko
Tum Aksar O Beshtarr Jab
Janvary Ki Sardd Raaton Mein
Jab Thanday Paani Say Ghusall Kar K
Tahajatt Jab Bhi Parhtay Thay
Mein Tum Ko Daikhti Thi
Mein Wohi Chaandni Hun
Jisay Tum Aksaer Aangann Mein Baith Kar
Meri Dudheya Si Roshni Mein
Tum Aksar Mere Hi Jisamm Say Lag Kar
Mujh Mein Apna Saaya Sa Daikh Kar
Wo Jis Tanhaai Say Tum
Aksar O Beshtarr Tum Apni Hi Saansoon Say
Lambi Si Aah Bhartay Thay
Kasam Say Jaan Jaati Thi
K Muhabat Itni Kisi Say Ho
Wo Tarpay Kisi Ki Yaad Mein
Shab BharDin BharZindagi Bhar
Usay Us Ki Muhabat Kyoun Nahi Milti
Mein Aksar Daikhtey Thi Tum Ko
Tum Aksar O Beshtarr Jab
Dhuwaan Sa Apni Saansoon Ka
Kabhi Tum Aasmaan Ko Daikh Kar
Jab Bhi Uraatay Thay
Mein Aksar Sochti Thi
K Tum Kitnay Adhooray Ho
K Tum Kitnay Hi Tanha Ho
Khuda Janay Tumhari Wo Naqaab Waali Kahaan Gaiey Hai
Tumhain Shaayar Bana Kar
Apni Aankhon Mein Basa Kar
Tumhari Neendain Churaa Kar
Mein Aksar Soochti Hoon K
Kahaan Gaiey Wo Niqaab Waali
Kahaan Gaiey Wo Niqaab Waali
Jo Daikhtay Hi Tumhain Thaam Liya Karti Thi
Mein Aksar Sochti Hoon
Kitni Paakeeza Thi Na Muhabat Tumhaari
Mein Aksar Soochti Hoon K
Kahaan Gaiey Wo Niqaab Waali
Jo Aksar O Beshtar Tumhain
Kisi Say Daray Bina Kabhi
Tumhain Jab Thaamti Thi
Ghumaati Thi Pher Jese
Tumhain Wo Puray College Mein
Jisay Tumnay Kabi Bhi
Dar K Us K Ghussay Say
Tum Ne Kabhi Chuwaa Na Tha
Bas Yehi Saochtay Thay Tum
K Agar Izhaar Is Say Kar Diya Tum Nay
To Kaheen Yeah Inkaar Na Kar Day
K Tum Usay Chaahanay Ka Yeah Haq Na Kho Do
Qasam Say Aaj Pher Say Ik Baar Kehti Hoon
Bohat Pagal Thay Tum Kamran
Kasam Khuda Ki Agaer Ik Baar Tum Nay Us Say
Izhaar E Muhabat Kiya Hota
To Tum Youn Tanha Na Hotay
Mein Aaj Pher Say Ik Saal Baad
Tumhaaray Paas Aai Hon
Khayaal E Yaar Sa Ban Kar
Tumharay Paas Aai Hoon
Khayaal E Yaar S Ban Kar
Tumhaaray Dil Mein Aai Hoon
Tumhaaray Hath Say Ho Kar
Qalam Ki Nok Say Bahar Aa Kar
Siyaahi Si Jo Ban Haathon Tumharay
Koray Say Pannay Pay Chaai Hoon
Haqeeqat Mein To Mein Yeah Sab Tum Se
Keh Nahi Sakti
Magar Tumhai Tanhai Ko Dekh Kar
Mujhay Ahsaas Thaq
K Tum Kuch Kehna Chahatay Thay Mujhse
Waja Yehi Thi Mein Tum Se Aaj Pher
Thandi Hawa Ka Ik Jhonk Sa Bann Kar
Tumhaaray Pairoon Ki Taliyoon Ko Chuu Kar
Tumhaaray Di Mein Aai Hoon
Mein Wohi Chaandni Hoon
Tum Jisay Apni Kanwal Ki
Zulf Kehtay Ho
Aur Cehraa Uska Chaand Kehtay Ho
Suno Kamran Mein Tumhari Hi
Saima Kanwal Hoon
Zara Tum Chaand Ko Daikho
Choro Qalam
Uthoo
Abhi Daikho Tum Chand Ko
Aur Us Say Pyar Ka Izhar Kar Do
Par Dehaan Rahay Koi Sun Na Lay
Suno Mein Ab Bhi Kherki Mein Mein
Khari Hoon
Aao Jaldi Aao
Keh Do Baat Mujhse Apne Dil Ki
Mein Bhi Tum Say Kahay Daitey Hoon
K Mujhko Pyaar Hai Tum Se Kamran
Zara Ab Tum Bhi Keh Do Na
Mujhay Tum Se Muhabat Hai
Kaho Na Please Aik Baar Tum
Magar Ik Baat Kahun Tum Say
Mujhay Tum Miss Nahi Kehna
Mera Tum Naam Hi Lena
To Lo Sunno Pher Tum
Mein Tum Se Aaj Kehta Hoon
Sunno Saima Kanwal
Mujhay Tum Se Muhabat Hai
 

Rate it:
Views: 1036
04 Oct, 2017
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets