Add Poetry

Mera Ghar Bhi Jala Dia

Poet: Imran uz Zaman By: Imran uz Zaman, Karachi

Tere Naam Ki Thi Jo Roshni, Usay App Tunay Bujha Dia
Na Jala Saki Jisay Dhoop Bhi Usay Chandni Ne Jala Dia

Main Ulajh Gaya Hun Buri Tarah, Mujhay Ap Apni Khabar Nhn
Jo Shakhs Tha Mera Rahnuma Usay Rastoon Ne Ganwa Dia

Jo Teri Nazar Main Ajeeb Tha, Wo Kabhi Tera Habeeb Tha
Jisay Apnay Zabt Main Kamal Tha, Usay Teray Ghum Ne Rula Dia

Jo Meri Zaat Se Tha Munsalik, Wo Shakhs Mera Naseeb Tha
Meray Hath Main Uski Lakeer Thi, Jisay Gardishon Ne Mita Dia

Hara Dia Hai Mujhay Tujhay, Naam-O-Nasb Bhi Mita Dia
Tera Ghar Bhi Gira Dia, Mera Ghar Bhi Jala Dia

Rate it:
Views: 1152
16 Nov, 2012
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets