Add Poetry

Meray Charager Teri Muhabato'n Mein Chupi Hui Hain Adawaten

Poet: S. Sadia amber jilani By: Syeda sadia amber jilani, Faisalabad, Punjab, pakistan

Meray Charager Teri Muhabato'n Mein Chupi Hui Hain Adawaten
Kabi Qurbaten Kabi Furkaten Kabi Manzilen Aur Musafaten

Kabi Intaha Ki Talab Teri Kabi Meri Dua Mein Khuahishen
Kabi Ajnabi Meray Hal Say Kabi Umer Bhar Ki Rafakaten

Koi Qisa Ho Khuol Kar Biya'n Koi Baat Ho Ronama
Turak-E-Tualk Bhi Nahi Aur Saath Mein Bhi Qabahaten

Yeh Wajah Bewajah Nahi Yeh Baat Besabab Nahi
Zara Sun Meray Humnishee'n Yeh Khamoshion Ki Wazahaten

Bicharr K Mujh Say Dil Nashee'n Bikhar Na Jao Tum Kahen
Hain Talkh Bohat Hakeekaten Aur Wakat Ki Yeh Adalaten

Hum Muhabaton K Hain Shehar-E-Yar Hum Gazal-O-Sheir K Shehar Zaad
Bassa Rahy Ho Kis Tarah Ki Hum Mein Tum Uktahen

Jala K Khud Ko Dard Mein Aur Aah Bhi Na Kijiye
Kathan Bohat Kathan Hain Yeh Muhabato'n Ki Nazakaten

Ishq Say Amber Nibah Kar Talaash Mein Ho Kis Qadar
Jo Jan-O-Dil Loota Chukay Muyasir Kaha'n Usay Rahaten
 

Rate it:
Views: 266
23 Jan, 2016
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets