Mere Alfaaz mere Baba k liye
Poet: MEHNAZ SHOUKAT ALI By: MEHNAZ, KarachiKhush Naseeb Ho K Mujhe Dost Ki Shakal Mai Mile Hai Baba
 Meri Har Baat Ko Samjh Jate Hai Sab Se Pehle Woh Hai Mere Baba
 Mere Har Pal Ko Sunhara Banadayte Hai Mere Baba
 Ek Roz Poucha Mujhse Usaad Ne
 Di Humko Yeh Khushal Zindagi Kis Ne
 Main Har Baar Baba Hi Bolta Gaya
 Usaad Mujh Ko Shabash Bolta Gaya
 Mere Sur Per Yeh Saya Hai Tumhara Baba
 Har Jang Jeet Jaonga Is Sahare Baba
 Tum Mujhko Isi Tarah Har Bhurai Se Bachana
 Har Kadaam Per Mera Saath Tum Nibhana
 Main Chahe Kitna Bara Hojayega Baba
 Lakin Rahoga Tumhara Chota Sa Bacha Baba
 Woh App Ka Meri Har Zid Ko Pura Karjana
 Har Jeet Per Meri Peet Ka Thapthapana
 Meri Zindagi Ki Do Hai Azeem Shasiyat Baba
 Ek Mamta Lutane Wali Maa Dosre Pyar Karne Wale App Baba
 Main App Per Puri Zindagi Nichawar Kardo Woh Kaam Hai Baba
 Har Janam Main Mere Saath Rahna Mera Sahara Bankar Baba
 Mere Andhere Ki Roshni Tum Hi Ho Baba
 Meri Khushiyo K Baag Tum Hi Baba
 Tumhi Se Meri Har Subah Ka Ujala Hota Hai Baba
 Har Mushkil Ka Haal App Hi Se Hota Hai Baba
 Mere Mawla Meri Umar Bhi Day Na Baba Ko
 Har Takleef Se Dour Rakhna Mere Baba Ko
 Tareeqi Khub Karlonga Is Duniya Main Mehnaz
 Baba Ki Duae Aur Unki Khidmat Se Palonga Do Jahan Mai Muqame Khaas...
  







 
  
  
  
  
  
  
  
  
  
  
 