Add Poetry

Meri Gardan pe Churi

Poet: Shamsul "ShamS" By: Shamsul Hasan, New Delhi

Meri Gardan Pe Churi Paon Mai Chaale Dekho
Aise Hote Hain Sach Bolne Waale Dekho

Youn To Har Shahr Mai Mil Jaate Hain Mandir Masjid
Phir Bhi Har Shaks Ke Yahan Dil Hain Kaale Dekho

Ghar Mai Faakhon Se Lad Rahi Hai Gareebi Uski
Ek Roti Ke Kai Tookde Tookdo Ke Niwaale Dekho

Badshahat Ke Guroor Mai Ho Gaya Wo Fakeer
Haaye Kismat Ke Zara Khel Niraale Dekho

Hum Gareebon Ke Ghar Mai Andheron Ki Roshni Hai Bohat
Aise Hote Hain Mohabbat Ke Ujaale Dekho

Baad Muddat Ke Main Apne Ghar Ko Lot Aaya Hoon
Ashq Aankhon Mai Hain Ghar Mai Hain Jaale Dekho

Uski Surat Pe Saaf Dard Ka Saaya Hai "Shams"
Aaj To Hum Bhi Hain Zara Dil Ko Sambhale Dekho.
 

Rate it:
Views: 1824
22 Sep, 2014
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets