Add Poetry

Meri Gudia Badi Ho Gayi Hai

Poet: ÃÂÑ$ØØ By: ÃÂÑ$ØØ, Karachi

Meri Gudia Badi Ho Gayi
Bade Din Gaud Main Kheli
Gudia Gudde Uski Saheli
Ek Din Ye Kissa Suna
Aur Ye Kaisi Ghadi Ho Gayi
Meri Gudia Badi Ho Gayi

Haste Hue Jab Dikhti Thi
Meri Sanse Tab Chalti Thi
Aur Aaj Hum Khade Rahe
Aankhen Ye Nam Ho Gayi
K Gudiya Meri Badi Ho Gayi

Fairy Lipistick Sari Penthi Thi Sath
Choti Goothte The Maa Ke Hath
Aaj Tera Sringar Jo Dekha
Aankhen Ye Teri Bayan Kar Gayi
K Gudiya Meri Badi Ho Gayi

Kuch Din Pehle Woh Bath Kahi
Kisi Ke Bin Tum Jee Sakti Nahi
Ho Gaya Hai Tumhe Kisi Se Pyar
Judai Ki Ghadi Aankhon Main Aa Gayi
Ki Gudia Meri Badi Ho Gayi

Kuch Din Main Hath Peele Kar Logi
Sang Apne Piya Ke Chal Dogi
Doli Main Bithane Hum Aayenge
Anjaan Ghar Ki Khushi Ho Gayi
Ki Gudiya Meri Badi Ho Gayi

Tere Sare Sathi.. Tere Sare Khilone
Lag Jayenge Humare Sang Rone
Bhai Ye Dukhi Bhi Khush Bhi Hoga
Acche Meri Behan Ke Takdeer Ho Gayi
K Gudiya Meri Badi Ho Gayi

Tu Na Rona Zara Bhi Meri Aanken Dekh
Tu Na Kehna Jana Nahi Saathi Ke Desh
Mera ~Jannu~ Tere Sath Hi Hoga
Kya Hua Is Ghar Se Parayi Jo Ho Gayi
Ki Meri Gudia Badi Ho Gayi

Har Sal Tujhse Milne Main Aaounga
Tujhe Khush Dekh "Mast" Ho Jaounga
Dua Thi Jo Wo Rang La Gayi
Ki Meri Gudiya Badi Ho Gayi

Rate it:
Views: 1473
24 Feb, 2011
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets