Mujh Ko Bhi Tarqeeb Sikha Day

PoetSharjeel Submitted byJavaid
Text size

Mujh Ko Bhi Tarqeeb Sikha Day Yaar Julahay
Aksar Tuj Ko Tana Buntay Daikha Hay

Jab Koe Dhaga Toot Gaya Yah Khatam Huwa To
Phir Say Girha Bandh Kay Agay Bunanay Lagtay Ho

Tumharay Is Tanay Main Laikin
Ganth, Girha Daikh Nahin Sakta Hay Koe

Main Nay Bhi Ek Baar Buna Tha Ek Hi Rishta Ek Hi Nata
Laikin Us Kay Sari Girhain Sari Ganthain Saaf Nazar Ati Hain

Meray Yaar Julahay Mujh Ko Bhi Tarteeb Sikha Day
Mujh Ko Bhi Tarteeb Sikha Day
 

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied