Add Poetry

Mumkinat Na Mumkinat

Poet: Shakeel Ahmad By: Shakeel Ahmad, Toru Mardan

Tum Meri Rooh Mera Jism Meri Jan Ho Sanam
Kaise Mumkin Hay Ke Main Tum Ko Bhula Doon Janan

Dil Ke Aayine Main Bus Teri Hi Tasweer Sajey
Kaise Mumkin Hay Ye Tasweer Mita Doon Janan

Han Ye Mumkin Hay Ke Ye Gardishe Doran Ham Ko
Aik Dooje Se Kuch Is Tarha Se Bezar Kare

Main Tujhe Daikh Ke Chairun Jo Kabhi Piar Ki Bat
Too Mujhe Daikh Ke Nafrat Se Ye Gardan Phairey

Main Ye Samjhunga Ke Too Mujh Se Khafa Hay Shayed
Aur Hayed Tujhey Ab Mujh Se Wo Ulfat Hi Nahi

Han Ye Mumkin Hay Tujhe Mujh Se Muhabbat Na Rahe
Aj Sab Kuch Hun To Kal Meri Zarurat Na Rahey

Ye Bhi Mumkin Hay Ke Phir Mujh Pe Inayat Na Rahey
Meri Taqdeer Meri Tarha Salamat Na Rahey

Ye Bhi Ho Sakta Hay Too Ghair Ki Banhon Main Rahey
Bus Tera Naqshe Kafe Pa Meri Rahon Main Rahey

Ain Mumkin Hay Ke Hon Sab Mere Andeshe Ghalat
Aur Mumkin Hay Ke Too Mujh Se Karey Piar Ki Bat

Apni Be Laos Muhabbat Ki Ho Izhar Ki Bat
Zindagi Bhar Ke Liye Piar Ke Iqrar Ki Bat

Han Ye Mumkin Hay Ke Ye Khwab Mera Ho Sachcha
Tum Ne Jo Piar Nibhane Ki Qasam Khai Thi

Piar Main Jan Se Janey Ki Qasam Khai Thi
Kia Ye Mumkin Hay Ke Too Ehde Wafa Ko Torey???

Nahi, Hargiz Nahi, Bilkul Nahi, Mumkin Hi Nahi
Yad Hay Tum Ne Hi Ik Roz Kaha Tha Mujh Se

Tum Meri Rooh Mera Jism Meri Jan Ho Sanam
Kaise Mumkin Hay Ke Main Tum Ko Bhula Doon Janan

Dil Ke Aayine Main Bus Teri Hi Tasweer Sajey
Kaise Mumkin Hay Ye Tasweer Mita Doon Janan

Rate it:
Views: 495
01 Mar, 2013
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets