Musafir
Text size
Mai To Aik Bujti Huwi Shamah Ka Dum Bharta Hoon
Mai Hoo Masroor Muhabbat Se Kahan Darta Hoon
Mai Andhery Mai Jalata Hoon Kai Deep Naye
Aik Musafir K Liye Shab Ko Sahr Karta Hoon
Aik Pal Chain Na Leny De Yeah Tanhayi Mujhe,
Yaad Mai Uski Mai Mar Mar K Jiya Karta Hoon
Yaad Ate Hain Sada Wisl K Who Lamhe Mujhe
Jab Kabhi Kochaye Janan Se Guzar Karta Hoon