Ye Taqleedi Bandhan Torh De
Ab Ghulami Main Jeena Chorh De
Ab Ye Zanjeerain Torh De
Ab Magghrib Me Jeena Chorh De Ab
Taqleed To Islam Ki Kar
Ooncha Apna Naam Kr
Hasil Khoya Hua Wo Maqaam Kr
Dushman Ko Harane Wale Kaam Kr
Haqeeqat Ko Apni Pehchan Le
Zindagi Ko Qeemti Maan Le
Hr Mushkil Se Larhna Jan Le
Ab Jeetny Ki Thaan Le
Insaan Hy Magr Insaaniyat To Nahi Dikhlata
Phir Kyun To Insaan Hy Kehlata
Aqal Ki Bina Pr Ashraful Makhlooq Ka Darja Hy Paata
Phir Kyun To Aqal Ko Istamal Me Nahi Lata
Kyun Ilm-O-Amal Aur Mehnat Ko Chorh Dia Hy To Ny
Kyun Haqeeqat Se Yoon Mun Morh Lia Hy To Ne
Kyun Kamiyabiyon Ka Silsila Torh Dia Hy To Ne
Kyun Sab Kuch Apna Kr Bas ISLAM Ko Chorh Dia Hy To Ne