Mushkil Hai

Poet Submitted byRafay
Text size

Muhabbat Ka Iarada Ab Badal Jana Bhi Mushkil Hay
Tumhain Khona Bhi Mushkil Hay Tumhain Pana Bhi Mushkil Hay

Udasi Teray Chehray Ki Gawara Bhi Nahi Lekin
Teray Khatir Sitaray Tor Kar Lana Bhi Mushkil Hay

Zara Si Bat Par Ankhain Bhigo Kar Beth Jatay Ho
Tumhain Tu Apnay Dil Ka Haal Batlana Bhi Mushkil Hay

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied