Add Poetry

Mutafaraq Ashaar

Poet: mirza mahmood By: sadaf shakoor, faisalabad

Noukri Ke Liye Akhbar Ke Ilaan Na Parh
Jaan Pachan Ki Baatein Hain ,Kaha Maan Na Parh
Jin Ko Milni Ho Un Ko Pahley Hi Mil Jati Hai
Bus Dikhawey Ke Hotey Hain Ye Farman Na Parh.

Mulk Main Berozgari Aam Hai
Har Preshaani Isi Ka Naam Hai
Noukri Milti Hai Rishwat Se Faqat
Ye Kharabi Har Taraf Har Gaam Hai.

Jin Ko Angarez Ka Qanoon Ho Azbar Un Se
Aur Sub Poochh Magar Shraa Ke Ahkam Na Poochh
Radio Main Bhi Jo Quraan Ki Tillawat Na Sunain
Un Musalmano Ki Ulaad Ka Islam Na Poochh.

Bura Sher Kehne Ki Gar Kuch Saza Hai
Abas Jhoot Bakna Agar Narwa Hai
To Wo Makam Jis Ka Qazi Khuda Hai
Muqarrar Jahan Naik O Badd Ki Jaza Hai
Gunnah Gar Waan Choot Jaein Ge Sarey
Jahanam Ko Bhar Dain Gey Shayer Hamarey.

Rate it:
Views: 691
06 Nov, 2012
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets