Khabar-E-Tahayyur-E-Ishq Sunn, Na Junoon Raha Na Pari Rahi
Na Toh Tu Raha Na Toh Mein Raha, Jo Rahi So Be-Khabari Rahi
Shah-E-Bekhudi Ne Ataa Kia, Mujhay Ab Libas-E-Barahanagi
Na Khirad Ki Bakhiyagari Rahi, Na Junoon Ki Pardadari Rahi
Chali Simt-E-Ghaib Se Aik Hava, Ke Chaman Zahoor Ka Jal Gaya
Magar Aik Shakh-E-Nihal-E-Gham, Jise Dil Kahe So Hari Rahi
Nazar-E-Taghaful-E-Yaar Ka, Gila Kis Zuban Se Bayan Karoon
Ke Sharab-E-Sad-Qadaah Aarzu, Khum-E-Dil Mein Thi So Bhari Rahi
Woh Ajab Ghari Thi Mein Jis Ghari, Liya Dars Nuskha-E-Ishq Ka
Ke Kitab Aql Ki Taaq Main, Jyun Dhari Thi Tyun Hi Dhari Rahi
Tere Josh-E-Hairat-E-Husn Ka, Asar Iss Qadar So Yahan Hua
Ke Na Aayine Main Jila Rahi, Na Pari Kuun Jalva Gari Rahi
Kiya Khak-E-Aatish-E-Ishq Ne Dil-E-Benava-E-Siraj Ko
Na Khatar Raha Na Hazar Raha, Magar Aik Be-Khatari Rahi