Shehar Khamosh Gaalian Veeran Hain
Muhabbat Karne Wale Ab Pata Nahi Kahan Hain
Waqat Waqat Ki Baat Hai
Pehle Yahan Muhabbat Thi
Ab Yahan Nafraton K Darya Hain
Mukhlis Koi Nahi Ab Bas Sab K Sab Anjan Hain
Ik Zamana Tha Sab Khush Hall Thay
Ab Ye Dour Hai Her Ik Koi Ik Dosre Se Preshan Hain
Mehnat Ker Khush Hote Tab Jab Mehnat Ka Haq Adda Hota
Ab To Bas Mehnat Aur Mushakat Hai Kamaaiyon Mein Ab Kahan Barkat Hai
Suna Hai Ik Dour Tha Muhabbaton K Gulab Thay
Aur Insano K Dill Bagh Bagh Thay
Ab To Ye Alam Hai Ik Insan Dusre Insan Ka Gala Katne Ko Tayar Hai
Us Waqat Dodh Ki Naadiya Behti Thi
Ab To Charo Taraf Bas Khon K Dirya Hain
Ab Suno To Log Kehte Hain Tab Door Tha Muhabbat Ka Ab Wo Log Nahi
Main Kehta Hun Tab Jo Logo Mein Muhabbat Thi
Wo Ab Bhi Hai Bass Hum Khud Ko Badlne K Liye Nahi Tayar Hain