Nahi Jaati
Poet: Shamsul "ShamS" By: Shamsul Hasan, New DelhiHumaare Dar Se Jaane Kyun Teri Aahat Nhi Jaati
 Tumhe Kho Kar Paane Ki Kyun Hasrat Nhi Jaati
 
 Mere Aansoo Bhi Rotey Hai K Main Bhi Shor Karta Hun
 Tumhaare Paas Tak Kya Meri Aahon Ki Dastak Nhi Jaati
 
 Mujhe Har Soo Se Nafrat K Hi Tohfon Ne Nawaza Hai
 Na Jaane Phir Bhi Kyun Mere Dil Se Ye Mohabbat Nhi Jaati
 
 Gali Koochon Mai Phirta Hun Teri Tasveer Ko Lekar
 Humesha Ki Tarha Bas Meri Ye Aadat Nhi Jaati
 
 Hume Apno Se Ladne Pe Ye Kyun Majboor Karti Hai
 Kyun Mere Mulq Se Badnaam Shiyasat Nhi Jaati
 
 Humesha Chand Sikkon Ki Talab Aur Bhookh K Maare
 Gareebon K Makaano Se Kyun Ye Ghurbat Nhi Jaati
 
 Alag Ek Shahr Ho Iss Mulq Mai Inn Bewafaaon Ka
 Inhe Kuch Bhi Saza Do Inki Ye Aadat Nhi Jaati
 
 Khuda Ki Bandagi Mai Ye Bhi Ek Azeem Tohfa Hai
 "Shamsul" Namaaziyon K Chehron Se Kabhi Ronak Nhi Jaati.
  






