Angarai Bhi Woh Lanay Na Paye Utha Kay Haath
Dekha Jo Mujh Ko Chor Deay Muskara Kay Haath
Yeh Bhi Naya Sitam Hai Hina To Lagain Ghair
Aur Is Ki Daad Chahain Woh Mujh Ko Dikha Kay Haath
Beyikhtiar Ho Kay Jo Main Paoon Par Gira
Thori Kay Neechay Us Nay Dhara Muskara Kay Haath
Woh Zanooon Main Seena Chupana Simit Kay Haay
Aur Phir Sambhalna Woh Dupatta Chura Kay Haath
Koochay Sey Tairay Uthain To Phir Jain Ham Kahan
Baithain Hain Yaan To Donon Jahan Say Utha Kay Haath
Dena Woh Us Ka Saghare May Yaad Hai Nizam
Munh Phair Kay Udhar Ko Idhar Ko Barha Kay Haath