Add Poetry

Nikhr Gai Hai Meri Mohabat

Poet: Minhas By: Farasat ali, Lahore

Nikhr Gai Hai Meri Mohabtbarsh K Bad Nikhry Gulab Ki Trah
Bhr Gai Hai Meri Hathaili Us K Ashkon Sy Kisi Talaab Ki Trah

Hua Dukh B Bohat Lga Acha B Bohat Us Lamhy Mujhy Minhas
Jab Nikly Mery Liye Us Ki Aankhon Sy Ashk Kisi Selaab Ki Trah

Chun Kr Apny Honton Sy Ashk Us Kpucha Tha Younhi Sbab Main Ny
Hont To Hily Nahi Mgr Qtra Qtra Girty Rhy Ashk Kisi Jwaab Ki Trah

Itna Brsi Hain Us Ki Ankhyn K Meri Mohabt Bheeg Gai Hai Minhas
Samait Liya Hai Hr Ashk Mohabt K Damn Mein Kisi Swaab Ki Trah

Main To Saakt O Jaamd Usy Daikh Raha Tha Num Palkon K Sath
Wo Lamha Meri Zingi Ka Hasil Tha Jo Lag Rha Tha Kisi Khwaab Ki Trah

Gulaamon Ki Trah Rehta Hai Ab Meri Mohbat Ki Qaid Mein Wo Shakhs
Aur Kbi Hakoomat Krta Hai Mery Dil Py Kisi Nawaab Ki Trah

Main Madhosh Sa Hun Jb Sy Suna Hai Larzty Honton Sy Apna Nam
Har Lafz Mein Us K Eak Nsha Sa Tha Kisi Sharaab Ki Trah

Aaj Bujhi Hai Brson Sy Pyasi Dhrknon Ki Pyaas Minhas
Aaj Us Ki Ankhon Mein Prhi Hai Warq Warq Apni Mohabt Kisi Kitaab Ki Trah

 

Rate it:
Views: 454
19 Dec, 2013
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets