Parho Gy Khat Kabhi Mery

PoetJameel Submitted byJameel Buneri
Text size

Parho Gy Khat Kabhi Mery, Kabhi Tasveer Dekho Gy
Kabhi Hathon Men Jo Likhi Hy Wo Tehreer Dekho Gy

Likho Gy Kuch Hatheli Par, Parho Gy Kuch Kitabon Men
Nazar Aayen Gy Ham Tum Ko Sawalon Men Jawabon Men

Kabhi Aansu Bahaao Gy, Kabhi Tum Muskuraao Gy
Kisi Se Kuch Kaho Gy Tum, Kisi Se Kuch Chupaao Gy

Kabhi Khamosh Betho Gy, Kabhi Kuch Gungnao Gy
Ham Utna Yad Aayen Gy Hamen Jitna Bhulao Gy?
 

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied