Pehli Mohabbat

Poet Submitted bysharish saleem
Text size

Safar May Apne Hissay
Ki Musafat Yaad Rehti
Hai,
Kahin Abaad Hone Par Bhi
Hijrat Yaad Rehti Hai,
Wo Chahe Dosti Ho
Dushmani Ho Ya
Muhabbat Ho,
Yahan Har Haal Main
Apni Zarurat Yaad
Rehti Ha,
Kisi Sehra Ko Pyasa
Chor Jata Hai Kabhi
Darya,
Kabhi Payasay Ko Darya
Ki Sakhawat Yaad Rehti
Hai,
Ye Sach Hai Pyar Pehla
Hi Basa Rehta Hai
Sanson Main;
Ye Sach Hai Umar Bhar
Pehli Muhabbat Yaad
Rehti Hain
 

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied