Is Bazar-Dunyaan Ko To Chalna He Roze-Mehshar Talak
Chal Rahe Hain Kai Musafir Aj Bhi Purani Rahoon Pe
Nay Nay Sitam Hain Har S ,Nai Nai Hain Aahain
K Pathar Par Rahe Hain Aj Bhi Purani Aahoon Pe
Badal Gia He Jism Mera Badal Gai He Soch
Magar Ik Ajab Bojh He Aj Bhi Purani Bahoon Pe
Insan Hi Badal Jate Hain Nazroon Ka Kia Bharosa He
Kia Karoon He Meri Nigah Aj Bhi Purani Nigahoon Pe
Jal Rahe Hain Yeh Parwane Ishq K Deewoon Main
Roshan Hain Bohut Se Chrag Aj Bhi Purani Dargahoon Pe
Dil Bharta Hi Nahain Is Zindagi Se Mera Shamas
Kash Yoon Hi Guzarte Zindagi Ham Aj Bhi Purani Shaharahoon Pe