Add Poetry

Qaafley Se Bhrosa Uthana Para

Poet: Touqeer Ijaz Deepuk By: Touqeer Ijaz Deepuk, Jhang

Qaafley Se Bhrosa Uthana Para
Apna Rasta Mujhe Khud Banana Para

Ungelian Thaam Kar Chalne Ki Umar Thi
Jab Mujhe Boojh Apna Uthana Para

Aaj Phir Paas Apne Kiraya Nah Tha
Madrisay Papyadah Hi Jana Para

Doston Ne To Phir Bhi Tawaquf Kiya
Karz Bhai Ka Pehlay Chukana Para

Aab E Rehmat Ne Shab Jo Chuva Khat Ko
Ghar Parosi Ke Bistar Lagana Para

Mujh Ko Ahsas E Faqa Kashi Tab Huwa
Dar Se Jab Sag Ko Mayoos Jana Para

Tifal Jab Bilbilaya Kari Bhook Se
Baech Kar Khoon Bhi Doodh Lana Para

Unn Se Meeras Pucho Na Ae Dostoo
Boojh Qarzon Ka Jin Ko Uthana Para

Sab Hi Niklay Jo Deepuk Namak Paash To
Khud Hi Zakhamo Pay Marham Lagana Para
 

Rate it:
Views: 7
30 Jun, 2024
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets