Serd Mausam Udaas Hota Hay
Text size
Serd Ratoun Ka Ho Chuka Aghaaz
Soona Soona Udaas Aangan Hay
Tez Jhonka Hawa Ka Aya Hay
Meray Mun Mein Ajeeb Uljhan Hay
Shehr, Sadkaein , Drakht Aur Galyan
Aagaye Dhund Ki Panahon Mein
Rastoun K Nishaan Nahi Miltay
Dhund Utar Ayee Aaj Rahon Mein
Kitnay Veeran Hein Dro-Deevar
Kuhr Aalud Ye Fizaein Hein
Khali Khali Udaas Rastay Hein
Kitni Yakhbasta Ye Hawaein Hein
Meray Kamray Ki Aik Khidki Se
Chandni Aarahi Hay Chhan Chhan K
Pass Reh Ker Bhi Tum Se Door Rahay
Dermian Faslay Rahe Mun K
Phir Likha Geet Mein Ne Tere Liye
Soy-E Jazbon Ne Li Hay Angraee
Tod Dalein Gi Phir Baddan Mera
Kervatein, Raat Aur Tanhaee
Surmaee Shaam K Andheron Mein
Aahatoun Per Qyaas Hota Hay
Dooriyan Bhi Hein Aur Vaisay Bhi
Serd Mausam Udaas Hota Hay