Shaam K Ujalo

PoetWaqas Bhutt Submitted byWaqas Bhutt
Text size

Shaam K Ujalo Par
Apne Narm Hathon Se
Koi Baat Achi Si
Koi Khawab Sacha Sa
Koi Bolti Khushbu
Koi Sochta Lamha
Jab Bhi Likhna Chaho Ge
Soch K Daricho Se
Yaad K Hawalon Se
Mera Naam Chup Chup Kar
Tum Ko Yaad Aaye Ga
Hath Kaanp Jaingy
Shaam Teher Jaye Gi
Meri Yaad Aaye Gi
Meri Yaad Aaye Gi
 

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied