Shikayatein Bohat Hote

PoetJDJD Submitted byJDJD
Text size

Shikayatein Bohat Hote Hain Gille Behisab Hote Hain
Par Tum Saamne Aate Ho To Zuban Pe Taale Lag Jate Hain

Jo Bhi Lafz Humne Yaad Kiye Hote Hain Sunane Ko
Wo Tum Se Milte He Zehan Se Nikal Jate Hain

Kuch Kehne Ko Rehte Nahi, Jab Chehra Tumhara Dekhte Hain
Isliye Hum Khamosh Reh K Tumhare Sunte Jate Hain

 

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied