Manta Hoon Yaro Ke Mein Karachi Ka Nahin Hoon
Pathan Hoon Sada Se Per Kisi Party Ka Nahin Hoon
Mana Keh Mere Roop Mein Bhi Koi Fasad Kar Raha Hai
Is Shehr E Karachi Ka Aman Barbad Kar Raha Hai
Mein Tou Is Sheher Mein Apne Rizq Ka Dana Chunnay Nikla Tha
Na Dehshatgardi Karne, Na Hi Nishana Banne Nikla Tha
Tum Hi Batao Mein Is Sheher Se Jaoon Tou Kahan Jaoon
Dhamakon, Selaabon Ki Nazar Hai Mera Gaoon
Tumhara Har Latifa Mere Naam Se Jurr Raha Hai
Tumhare Qisson Mein Mera Mazaq Urrh Raha Hai
Ja Kar Dekho Kis Tarah Se Aik Ghar Bikharta Hai
Jab Jahazoan Se Gharoan Pe Bum Girta Hai
Mere Chehre Pe Darhi Hai, Meri Rangat Gori Hai
Kia Pathan Hona Koi Jurm Hai, Kia Pathan Hona Koi Chori Hai
Mein Masjid Mein Fajar Ki Namaz Parhta Hoon
Khuda Ke Naam Se Din Ka Aghaz Karta Hoon
Din Bhar Mazdoori Kar Ke Dhoop Mein Jalta Hoon
Roti Se Piaz Kha Kar Bhi Naaz Karta Hoon
Aao Ke Aik Doosre Ko Insan Samajhte Hain
Bhai Samajhte Hain, Musalman Samajhte Hain